buton par mar miTe dhoka diya sari KHudai ko
butoñ par mar miTe dhoka diyā saarī ḳhudā.ī ko
janāb-e-shaiḳh ham samjhe tumhārī pārsā.ī ko
zamāna phir gayā phir jaa.e par tū to hamārā ho
terī ḳhātir se ai but hamne chhoḌā hai ḳhudā.ī ko
merī mushkil meñ aaḌe aa.iye āsān kar dījiye
zarā maiñ bhī to dekhūñ aap kī mushkil-kushā.ī ko
ḳhudā ne dil diyā thā sadqe karne ko hasīnoñ par
jabīñ paidā huī thī un ke dar par jab.ha-sā.ī ko
bajā-e-tāj zill-e-vārsī sar par hai ai 'bedam'
shahanshāhī samajhtā huuñ maiñ us dar kī gadā.ī ko
buton par mar miTe dhoka diya sari KHudai ko
janab-e-shaiKH hum samjhe tumhaari parsai ko
zamana phir gaya phir jae par tu to hamara ho
teri KHatir se ai but hamne chhoDa hai KHudai ko
meri mushkil mein aaDe aaiye aasan kar dijiye
zara main bhi to dekhun aap ki mushkil-kushai ko
KHuda ne dil diya tha sadqe karne ko hasinon par
jabin paida hui thi un ke dar par jabha-sai ko
baja-e-taj zill-e-warsi sar par hai ai 'bedam'
shahanshahi samajhta hun main us dar ki gadai ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.