chāñd sā chehra nur kī chitwan māshā-allāh māshā-allāh
chāñd sā chehra nuur kī chitvan māshā-allāh māshā-allāh
turfa nikālā aap ne joban māshā-allāh māshā-allāh
gul ruḳh-e-nāzuk zulf hai sumbul aañkh hai nargis seb-e-zanaḳhdāñ
husn se tum ho ġhairat-e-gulshan māshā-allāh māshā-allāh
sāqī-e-bazm-e-roz-e-azal ne bāda-e-husn bharā hai is meñ
āñkheñ haiñ sāġhar shīsha hai gardan māshā-allāh māshā-allāh
qahr ġhazab zāhir kī rukāvaT āfat-e-jāñ dar-parda lagāvaT
chaah kī tevar pyaar kī chitvan māshā-allāh māshā-allāh
ġhamza uchakkā ishva hai Daaku qahr adā.eñ sehr haiñ bāteñ
chor nigāheñ naaz hai rahzan māshā-allāh māshā-allāh
nuur kā tan hai nuur ke kapḌe us par kyā zevar kī chamak hai
chhalle kañgan ikke joshan māshā-allāh māshā-allāh
jam.a kiyā ziddain ko tum ne saḳhtī aisī narmī aisī
mom badan hai dil hai aahan māshā-allāh māshā-allāh
vaah 'amīr' aisā ho kahnā sher haiñ yā ma.ashūq kā gahna
saaf hai bandish mazmūñ raushan māshā-allāh māshā-allāh
chāñd sā chehra nur kī chitwan māshā-allāh māshā-allāh
turfa nikālā aap ne joban māshā-allāh māshā-allāh
gul ruḳh-e-nāzuk zulf hai sumbul aañkh hai nargis seb-e-zanaḳhdāñ
husn se tum ho ġhairat-e-gulshan māshā-allāh māshā-allāh
sāqī-e-bazm-e-roz-e-azal ne bāda-e-husn bharā hai is meñ
āñkheñ haiñ sāġhar shīsha hai gardan māshā-allāh māshā-allāh
qahr ġhazab zāhir kī rukāwaT āfat-e-jāñ dar-parda lagāwaT
chah kī tewar pyar kī chitwan māshā-allāh māshā-allāh
ġhamza uchakkā ishwa hai Daku qahr adāeñ sehr haiñ bāteñ
chor nigāheñ naz hai rahzan māshā-allāh māshā-allāh
nur kā tan hai nur ke kapḌe us par kyā zewar kī chamak hai
chhalle kañgan ikke joshan māshā-allāh māshā-allāh
jama kiyā ziddain ko tum ne saḳhtī aisī narmī aisī
mom badan hai dil hai aahan māshā-allāh māshā-allāh
wah 'amīr' aisā ho kahnā sher haiñ yā mashūq kā gahna
saf hai bandish mazmūñ raushan māshā-allāh māshā-allāh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.