Sufinama

chāñd sā chehra nur kī chitwan māshā-allāh māshā-allāh

Ameer Minai

chāñd sā chehra nur kī chitwan māshā-allāh māshā-allāh

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    chāñd chehra nuur chitvan māshā-allāh māshā-allāh

    turfa nikālā aap ne joban māshā-allāh māshā-allāh

    gul ruḳh-e-nāzuk zulf hai sumbul aañkh hai nargis seb-e-zanaḳhdāñ

    husn se tum ho ġhairat-e-gulshan māshā-allāh māshā-allāh

    sāqī-e-bazm-e-roz-e-azal ne bāda-e-husn bharā hai is meñ

    āñkheñ haiñ sāġhar shīsha hai gardan māshā-allāh māshā-allāh

    qahr ġhazab zāhir rukāvaT āfat-e-jāñ dar-parda lagāvaT

    chaah tevar pyaar chitvan māshā-allāh māshā-allāh

    ġhamza uchakkā ishva hai Daaku qahr adā.eñ sehr haiñ bāteñ

    chor nigāheñ naaz hai rahzan māshā-allāh māshā-allāh

    nuur tan hai nuur ke kapḌe us par kyā zevar chamak hai

    chhalle kañgan ikke joshan māshā-allāh māshā-allāh

    jam.a kiyā ziddain ko tum ne saḳhtī aisī narmī aisī

    mom badan hai dil hai aahan māshā-allāh māshā-allāh

    vaah 'amīr' aisā ho kahnā sher haiñ ma.ashūq gahna

    saaf hai bandish mazmūñ raushan māshā-allāh māshā-allāh

    chāñd chehra nur chitwan māshā-allāh māshā-allāh

    turfa nikālā aap ne joban māshā-allāh māshā-allāh

    gul ruḳh-e-nāzuk zulf hai sumbul aañkh hai nargis seb-e-zanaḳhdāñ

    husn se tum ho ġhairat-e-gulshan māshā-allāh māshā-allāh

    sāqī-e-bazm-e-roz-e-azal ne bāda-e-husn bharā hai is meñ

    āñkheñ haiñ sāġhar shīsha hai gardan māshā-allāh māshā-allāh

    qahr ġhazab zāhir rukāwaT āfat-e-jāñ dar-parda lagāwaT

    chah tewar pyar chitwan māshā-allāh māshā-allāh

    ġhamza uchakkā ishwa hai Daku qahr adāeñ sehr haiñ bāteñ

    chor nigāheñ naz hai rahzan māshā-allāh māshā-allāh

    nur tan hai nur ke kapḌe us par kyā zewar chamak hai

    chhalle kañgan ikke joshan māshā-allāh māshā-allāh

    jama kiyā ziddain ko tum ne saḳhtī aisī narmī aisī

    mom badan hai dil hai aahan māshā-allāh māshā-allāh

    wah 'amīr' aisā ho kahnā sher haiñ mashūq gahna

    saf hai bandish mazmūñ raushan māshā-allāh māshā-allāh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now