chaman-e-lāla ye ulfat tirī dikhlātī hai
chaman-e-lāla ye ulfat tirī dikhlātī hai
saiñkaḌoñ daaġh haiñ aur ek mirī chhātī hai
garche tuutī bhī hai shīrīñ-suḳhanī meñ mumtāz
par tirī baat kī lazzat ko kahāñ paatī hai
badlī aa jaatī hai is lutf se ḳhurshīd pe kam
zulf muñh par tire jis aan se khul jaatī hai
gul hī tanhā na ḳhajil hai ruḳh-e-rañgīñ se tire
nargis āñkhoñ ke tire sāmne sharmātī hai
maiñ kahāñ aur tirā vasl ye hai bas ai gul
gaah be-gāh tirī bū to sabā laatī hai
raat thoḌī sī hai bas jaane de mil hañs kar bol
nā-ḳhushī tā-ba-kujā sub.h huī jaatī hai
raushnī ḳhāna-e-āshiq kī hai tujh se varna
tū na ho to shab-e-mahtāb kise bhātī hai
sādgī dekh to dil us se kare hai yaarī
nāganī dekh ke jis zulf ko bal khātī hai
mah-ruḳhāñ kyā haiñ ki ho aa ke muqābil 'bedār'
kāñptī sāmne jis shoḳh ke barq aatī hai
chaman-e-lāla ye ulfat tirī dikhlātī hai
saiñkaḌoñ daġh haiñ aur ek mirī chhātī hai
garche tutī bhī hai shīrīñ-suḳhanī meñ mumtāz
par tirī baat kī lazzat ko kahāñ patī hai
badlī aa jatī hai is lutf se ḳhurshīd pe kam
zulf muñh par tere jis aan se khul jatī hai
gul hī tanhā na ḳhajil hai ruḳh-e-rañgīñ se tere
nargis āñkhoñ ke tere sāmne sharmātī hai
maiñ kahāñ aur tirā wasl ye hai bas ai gul
gah be-gāh tirī bū to sabā latī hai
raat thoḌī sī hai bas jaane de mil hañs kar bol
nā-ḳhushī tā-ba-kujā subh huī jatī hai
raushnī ḳhāna-e-āshiq kī hai tujh se warna
tū na ho to shab-e-mahtāb kise bhātī hai
sādgī dekh to dil us se kare hai yarī
nāganī dekh ke jis zulf ko bal khātī hai
mah-ruḳhāñ kyā haiñ ki ho aa ke muqābil 'bedār'
kāñptī sāmne jis shoḳh ke barq aatī hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.