charaghon ko jalana chahta hun
charāġhoñ ko jalānā chāhtā huuñ
havā ko āzmānā chāhtā huuñ
añdheroñ se ye jugnū kah rahā hai
hamesha jagmagānā chāhtā huuñ
ġham-e-dil saarī duniyā se chhupāne
maiñ khul kar muskurānā chāhtā huuñ
adā haqq-e-ibādat ho na paayā
duā meñ giḌgiḌānā chāhtā huuñ
nabī ke rāste pe chal ke 'asfī'
ḳhudā ko maiñ manānā chāhtā huuñ
charaghon ko jalana chahta hun
hawa ko aazmana chahta hun
andheron se ye jugnu kah raha hai
hamesha jagmagana chahta hun
gham-e-dil sari duniya se chhupane
main khul kar muskurana chahta hun
ada haqq-e-ibaadat ho na paya
dua mein giDgiDana chahta hun
nabi ke raste pe chal ke 'asfi'
KHuda ko main manana chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.