KHun ke aansu roi shabnam
ḳhuun ke aañsū roī shabnam
tar hai lahū se phuul kā dāman
dil jaisā nādān na dekhā
ġhair kā sāthī apnā dushman
apnoñ se ummīd-e-vafā kī
kosoñ duur ik sham.a hai raushan
kis hasrat se dekh rahe haiñ
chaak qafas se so.e nasheman
KHun ke aansu roi shabnam
tar hai lahu se phul ka daman
dil jaisa nadan na dekha
ghair ka sathi apna dushman
apnon se ummid-e-wafa ki
koson dur ek shama hai raushan
kis hasrat se dekh rahe hain
chaak qafas se soe nasheman
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 40)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.