chit chor liyo man moh liyo kirpa jo bhai mo pe sajan ki
chit chor liyo man moh liyo kirpā jo bha.ī mo pe sājan kī
bha.ī maiñ to dīvānī ai rī sakhī chhab dekh ke vā ke nainan kī
dukhiyā pe dayā ye charnan kī ye mehr bha.ī man-mohan kī
chamkā ke piyā ne bhaag morā sab kaaT dī biptā jīvan kī
torī chhab hai anokhī sāñche piyā tore rūp-anūp kā kyā kahnā
hirdai ko kare jagmag jagmag vo jot hai tumre karman kī
tan siis hirdai ye sab vaarī dou nain tihāre balihārī
more bāñke sa.variyā gyān-gunī ho jaa.e huzūrī charnan kī
ko.ū bhed tihāre kā jaane ko.ū ramz tuhārī kā samjhe
jānat hai tihāre gun sājan cherī ye tihāre dāman kī
torī zulfan kī tore nainan kī mahārāj batā.ūñ baat maiñ kyā
bha.ī aisī dīvānī matvārī sudh-budh na rahī mohe tan-man kī
chāhat hai tihārī bismillāh charnan meñ use 'manzūr' karo
kar jorat hai pag lāgat hai daasī ye tihāre dāman kī
chit chor liyo man moh liyo kirpa jo bhai mo pe sajan ki
bhai main to diwani ai ri sakhi chhab dekh ke wa ke nainan ki
dukhiya pe daya ye charnan ki ye mehr bhai man-mohan ki
chamka ke piya ne bhag mora sab kaT di bipta jiwan ki
tori chhab hai anokhi sanche piya tore rup-anup ka kya kahna
hirdai ko kare jagmag jagmag wo jot hai tumre karman ki
tan sis hirdai ye sab wari dou nain tihaare balihaari
more banke sawariya gyan-guni ho jae huzuri charnan ki
kou bhed tihaare ka jaane kou ramz tuhaari ka samjhe
jaanat hai tihaare gun sajan cheri ye tihaare daman ki
tori zulfan ki tore nainan ki mahaaraj bataun baat main kya
bhai aisi diwani matwari sudh-budh na rahi mohe tan-man ki
chahat hai tihaari bismillah charnan mein use 'manzur' karo
kar jorat hai pag lagat hai dasi ye tihaare daman ki
- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Edited by Hasan Nawaz Shah) (Pg. 94)
- Publication : Makhduma Amir-Jan Library, Narali (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.