dant pinhan hain lab-e-shirin mein ai shirin dahan
dant pinhan hain lab-e-shirin mein ai shirin dahan
Abdul Ghafoor Nassakh
MORE BYAbdul Ghafoor Nassakh
daañt pinhāñ haiñ lab-e-shīrīñ meñ ai shīrīñ dahan
kaun sā ḳhurmā hai jis meñ ustuḳhvāñ hotā nahii.
dar-ba-dar apnī nigah phirtī hai maarī maarī
baiTh rahnā kabhī saa.el ke muqaddar meñ nahii.
bosa-e-ḳhāl pe tū daañt na piis ai 'nassāḳh'
chābne dāñtoñ se lohe ke chane khel nahii.
dant pinhan hain lab-e-shirin mein ai shirin dahan
kaun sa KHurma hai jis mein ustuKHwan hota nahi
dar-ba-dar apni nigah phirti hai mari mari
baiTh rahna kabhi sael ke muqaddar mein nahi
bosa-e-KHal pe tu dant na pis ai 'nassaKH'
chabne danton se lohe ke chane khel nahi
- Book : Tazkira Muslim shora-e-Bihar-Voll.5 (Pg. 50)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.