dard-e-pa hoga shikast-e-kasa-e-sar ka jawab
dard-e-pā hogā shikast-e-kāsa-e-sar kā javāb
ġhāfiloñ ko degī merī laash Thokar kā javāb
shauq se likkheñ mire isyāñ farishte rāt-din
ek rahmat us kī hai is saare daftar kā javāb
ek din vo mere ghar hai ek din vo us ke ghar
ġhair kī qismat bhī hai mere muqaddar kā javāb
jab maiñ kahtā huuñ kahoge kyā ḳhudā ke sāmne
kahte haiñ tum ko batā deñ roz-e-mahshar kā javāb
narm-dil se narm-dil haiñ saḳht-go se saḳht-go
shīshe kā shīsha yahāñ patthar hai patthar kā javāb
us ne ḳhat bhejā jo mujh ko Daak par Daaka paḌā
yaar kyā kartā na thā mere muqaddar kā javāb
muñh chiḌhāo aur kā tevrī chaḌhāo aur par
ā.īna huuñ muñh pe dūñgā maiñ barābar kā javāb
pheñk do ḳhat likh ke qāsid se jo tum bezār ho
uḌ ke aa.egā jo hai mere muqaddar kā javāb
muñh kī khaa.ī saikḌoñ baal aa.ina meñ paḌ ga.e
le ke aayā thā tirī zulf-e-mo.ambar jo javāb
dard-e-pa hoga shikast-e-kasa-e-sar ka jawab
ghafilon ko degi meri lash Thokar ka jawab
shauq se likkhen mere isyan farishte raat-din
ek rahmat us ki hai is sare daftar ka jawab
ek din wo mere ghar hai ek din wo us ke ghar
ghair ki qismat bhi hai mere muqaddar ka jawab
jab main kahta hun kahoge kya KHuda ke samne
kahte hain tum ko bata den roz-e-mahshar ka jawab
narm-dil se narm-dil hain saKHt-go se saKHt-go
shishe ka shisha yahan patthar hai patthar ka jawab
us ne KHat bheja jo mujh ko Dak par Daka paDa
yar kya karta na tha mere muqaddar ka jawab
munh chiDhao aur ka tewri chaDhao aur par
aaina hun munh pe dunga main barabar ka jawab
phenk do KHat likh ke qasid se jo tum bezar ho
uD ke aaega jo hai mere muqaddar ka jawab
munh ki khai saikDon baal aaina mein paD gae
le ke aaya tha teri zulf-e-moambar jo jawab
- Book : Kalam-e-Ameer Minayee (Pg. 33)
- Author : Ameer Minayee
- Publication : Mashwara Book Dopt. Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.