dard-e-ulfat dil se jab mafqud hai
dard-e-ulfat dil se jab mafqūd hai
maut se bad-tar ye hast-o-būd hai
rāh-rau kyā shauq sādiq chāhiye
har qadam par manzil-e-maqsūd hai
apnī bīnā.ī kā hai saarā qusūr
varna vo to har jagah maujūd hai
āb-e-kausar kī tujhe 'vā.iz' hai fikr
mujh ko shoq-e-ātish-e-be-dūd hai
dard-e-ulfat dil se jab mafqud hai
maut se bad-tar ye hast-o-bud hai
rah-rau kya shauq sadiq chahiye
har qadam par manzil-e-maqsud hai
apni binai ka hai sara qusur
warna wo to har jagah maujud hai
aab-e-kausar ki tujhe 'waiz' hai fikr
mujh ko shoq-e-atish-e-be-dud hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.