dekh lo meri surat jalwa hai KHudai ka
dekh lo mirī sūrat jalva hai ḳhudā.ī kā
hai yahī haqīqat meñ bhed mustafā.ī kā
kar diyā ḳharābātī sāqiyā mujhe tū ne
miT gayā mire dil se naqsh pārsā.ī kā
vasl ain duurī hai be-ḳhudī zarūrī hai
kuchh bhī kah nahīñ saktā mājrā judā.ī kā
rañg zard hotā hai dil meñ dard hotā hai
jab zabāñ par aatā hai zikr āshnā.ī kā
ai 'azīz' ye bāteñ ye fareb kī ghāteñ
kisī se tum ne sīkhā hai Dhañg dilrubā.ī kā
dekh lo meri surat jalwa hai KHudai ka
hai yahī haqiqat mein bhed mustafai ka
kar diya KHarabaati saqiya mujhe tu ne
miT gaya mere dil se naqsh parsai ka
wasl ain duri hai be-KHudi zaruri hai
kuchh bhi kah nahin sakta majra judai ka
rang zard hota hai dil mein dard hota hai
jab zaban par aata hai zikr aashnai ka
ai 'aziz' ye baaten ye fareb ki ghaten
kisi se tum ne sikha hai Dhang dilrubai ka
- Book : Irfan-e-Azeez Intikhab-e-Kalam-e-Urdu (Pg. 15)
- Author : Azeez Safipuri
- Publication : Urdu Department, Aligarh Muslim University (1946)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.