dekh us parī se kījiye kyā ab to jā lagī
dekh us parī se kījiye kyā ab to jā lagī
chhoTī hī koī baat hai phir ye balā lagī
us lab pe dekhte hī se vo paan kī dhaḌī
shām-o-shafaq in āñkhoñ meñ kab ḳhushnumā lagī
ye dastaras kise ki kare us ko dast-bos
sau minnatoñ se paañv meñ us ke hinā lagī
maiñ kyā kiyā ki mujh ko nikāle hai vo sanam
ai ahl-e-bazm koī to bolo ḳhudā lagī
golī thī yā ḳhadañg thī zālim tirī nigāh
chhuTte hī dil ko toḌ kaleje meñ aa lagī
kis tarah hāl-e-dil kahūñ us gul se baaġh meñ
phirtī hai us ke saath to har-dam sabā lagī
is dard-e-dil kā pūchhiye kis se ilaaj jā
apnī sī kar chuke pa na koī davā lagī
aayā jo mehrbāñ ho sitamgar tū is taraf
kis vaqt kī na jāniye tujh ko duā lagī
itnā to vo nahīñ hai ki 'bedār' diije dil
kyā jaane pyārī us kī tujhe kyā adā lagī
dekh us parī se kījiye kyā ab to jā lagī
chhoTī hī koī baat hai phir ye balā lagī
us lab pe dekhte hī se wo pan kī dhaḌī
shām-o-shafaq in āñkhoñ meñ kab ḳhushnumā lagī
ye dastaras kise ki kare us ko dast-bos
sau minnatoñ se pañw meñ us ke hinā lagī
maiñ kyā kiyā ki mujh ko nikāle hai wo sanam
ai ahl-e-bazm koī to bolo ḳhudā lagī
golī thī yā ḳhadañg thī zālim tirī nigāh
chhuTte hī dil ko toḌ kaleje meñ aa lagī
kis tarah hāl-e-dil kahūñ us gul se baġh meñ
phirtī hai us ke sath to har-dam sabā lagī
is dard-e-dil kā pūchhiye kis se ilaj jā
apnī sī kar chuke pa na koī dawā lagī
aayā jo mehrbāñ ho sitamgar tū is taraf
kis waqt kī na jāniye tujh ko duā lagī
itnā to wo nahīñ hai ki 'bedār' dije dil
kyā jaane pyārī us kī tujhe kyā adā lagī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.