dil liya jaan li nahin jati
dil liyā jaan lī nahīñ jaatī
aap kī dil-lagī nahīñ jaatī
sab ne ġhurbat meñ mujh ko chhoḌ diyā
ik mirī be-kasī nahīñ jaatī
kaise kah duuñ ki ġhair se miliye
an-kahī to kahī nahīñ jaatī
ḳhud kahānī firāq kī chheḌī
ḳhud kahā bas sunī nahīñ jaatī
ḳhushk dikhlātī hai zabāñ talvār
kyuuñ mirā ḳhuun pī nahīñ jaatī
lākhoñ armān dene vāloñ se
ek taskīn dī nahīñ jaatī
jaan jaatī hai merī jaane do
baat to aap kī nahīñ jaatī
tum kahoge jo ro.uuñ furqat meñ
ki musībat sahī nahīñ jaatī
us ke hote ḳhudī se paak huuñ maiñ
ḳhuub hai be-ḳhudī nahīñ jaatī
pī thī 'bedam' azal meñ kaisī sharāb
aaj tak be-ḳhudī nahīñ jaatī
dil liya jaan li nahin jati
aap ki dil-lagi nahin jati
sab ne ghurbat mein mujh ko chhoD diya
ek meri be-kasi nahin jati
kaise kah dun ki ghair se miliye
an-kahi to kahi nahin jati
KHud kahani firaq ki chheDi
KHud kaha bas suni nahin jati
KHushk dikhlati hai zaban talwar
kyun mera KHun pi nahin jati
lakhon arman dene walon se
ek taskin di nahin jati
jaan jati hai meri jaane do
baat to aap ki nahin jati
tum kahoge jo roun furqat mein
ki musibat sahi nahin jati
us ke hote KHudi se pak hun main
KHub hai be-KHudi nahin jati
pi thi 'bedam' azal mein kaisi sharab
aaj tak be-KHudi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.