Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil mein hai yaad teri aankhon mein nur tera

Shauq Nimvi

dil mein hai yaad teri aankhon mein nur tera

Shauq Nimvi

MORE BYShauq Nimvi

    dil meñ hai yaad terī āñkhoñ meñ nuur terā

    jis ghar ko maiñ ne dekhā paayā zuhūr terā

    jalva tirā ayaañ hai pastī ho bulandī

    phūloñ meñ hai terī tāroñ meñ nuur terā

    ye sar tire qadam par yuuñ paḌā rahe

    jab tak na kahe baḳhshā qusūr terā

    gardan jhukā ne meñ bhī kyā sar bulandiyāñ haiñ

    paayā murāqabe meñ aksar huzūr terā

    kahtā huuñ sidq dil se donoñ ko ḳhushnumā haiñ

    mujh ko to ijz merā tujh ko ġhurūr terā

    apnī rag-e-gulū se paayā qarīb tujh ko

    ġhaflat ye thī ki rasta samjhe the duur terā

    apne karam ke sadqe mahshar meñ baḳhsh denā

    hai ik zalīl banda 'shauq'-e-ġhafūr terā

    dil mein hai yaad teri aankhon mein nur tera

    jis ghar ko main ne dekha paya zuhur tera

    jalwa tera ayan hai pasti ho ya bulandi

    phulon mein bu hai teri taron mein nur tera

    ye sar tere qadam par yun hi paDa rahe ga

    jab tak na tu kahe ga baKHsha qusur tera

    gardan jhuka ne mein bhi kya sar bulandiyan hain

    paya muraqabe mein aksar huzur tera

    kahta hun sidq dil se donon ko KHushnuma hain

    mujh ko to ijz mera tujh ko ghurur tera

    apni rag-e-gulu se paya qarib tujh ko

    ghaflat ye thi ki rasta samjhe the dur tera

    apne karam ke sadqe mahshar mein baKHsh dena

    hai ek zalil banda 'shauq'-e-ghafur tera

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now