Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main

Jigar Moradabadi

dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main

Jigar Moradabadi

MORE BYJigar Moradabadi

    dil meñ kisī ke raah kiye rahā huuñ maiñ

    kitnā hasīñ gunāh kiye rahā huuñ maiñ

    duniyā-e-dil tabāh kiye rahā huuñ maiñ

    sarf-e-nigāh-o-āh kiye rahā huuñ maiñ

    fard-e-amal siyāh kiye rahā huuñ maiñ

    rahmat ko be-panāh kiye rahā huuñ maiñ

    aisī bhī ik nigāh kiye rahā huuñ maiñ

    zarroñ ko mehr-o-māh kiye rahā huuñ maiñ

    mujh se lage haiñ ishq azmat ko chaar chāñd

    ḳhud husn ko gavāh kiye rahā huuñ maiñ

    daftar hai ek māni-e-be-lafz-o-saut

    saada jo nigāh kiye rahā huuñ maiñ

    aage qadam baḌhā.eñ jinheñ sūjhtā nahīñ

    raushan charāġh-e-rāh kiye rahā huuñ maiñ

    māsūmi-e-jamāl ko bhī jin pe rashk hai

    aise bhī kuchh gunāh kiye rahā huuñ maiñ

    tanqīd-e-husn maslahat-e-ḳhās-e-ishq hai

    ye jurm gaah gaah kiye rahā huuñ maiñ

    uThtī nahīñ hai aañkh magar us ke rū-ba-rū

    nādīda ik nigāh kiye rahā huuñ maiñ

    gulshan-parast huuñ mujhe gul nahīñ aziiz

    kāñToñ se bhī nibāh kiye rahā huuñ maiñ

    yuuñ zindagī guzār rahā huuñ tire baġhair

    jaise koī gunāh kiye rahā huuñ maiñ

    mujh se adā huā hai 'jigar' justujū haq

    har zarre ko gavāh kiye rahā huuñ maiñ

    dil mein kisi ke rah kiye ja raha hun main

    kitna hasin gunah kiye ja raha hun main

    duniya-e-dil tabah kiye ja raha hun main

    sarf-e-nigah-o-ah kiye ja raha hun main

    fard-e-amal siyah kiye ja raha hun main

    rahmat ko be-panah kiye ja raha hun main

    aisi bhi ek nigah kiye ja raha hun main

    zarron ko mehr-o-mah kiye ja raha hun main

    mujh se lage hain ishq ki azmat ko chaar chand

    KHud husn ko gawah kiye ja raha hun main

    daftar hai ek mani-e-be-lafz-o-saut ka

    sada si jo nigah kiye ja raha hun main

    aage qadam baDhaen jinhen sujhta nahin

    raushan charagh-e-rah kiye ja raha hun main

    masumi-e-jamal ko bhi jin pe rashk hai

    aise bhi kuchh gunah kiye ja raha hun main

    tanqid-e-husn maslahat-e-KHas-e-ishq hai

    ye jurm gah gah kiye ja raha hun main

    uThti nahin hai aankh magar us ke ru-ba-ru

    nadida ek nigah kiye ja raha hun main

    gulshan-parast hun mujhe gul hi nahin aziz

    kanTon se bhi nibah kiye ja raha hun main

    yun zindagi guzar raha hun tere baghair

    jaise koi gunah kiye ja raha hun main

    mujh se ada hua hai 'jigar' justuju ka haq

    har zarre ko gawah kiye ja raha hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now