dil mirā phir dukhā diyā kin ne
dil mirā phir dukhā diyā kin ne
so gayā thā jagā diyā kin ne
maiñ kahāñ aur ḳhayāl-e-bosa kahāñ
muñh se muñh yuuñ bhiḌā diyā kin ne
vo mire chāhne ko kyā jaane
ye sandesā sunā diyā kin ne
ham bhī kuchh dekhte samajhte the
sab yakāyak chhupā diyā kin ne
vo bulā.e se bhāgtā thā aur
'dard' tujh tak bulā diyā kin ne
dil mirā phir dukhā diyā kin ne
so gayā thā jagā diyā kin ne
maiñ kahāñ aur ḳhayāl-e-bosa kahāñ
muñh se muñh yuñ bhiḌā diyā kin ne
wo mere chāhne ko kyā jaane
ye sandesā sunā diyā kin ne
hum bhī kuchh dekhte samajhte the
sab yakāyak chhupā diyā kin ne
wo bulāe se bhāgtā thā aur
'dard' tujh tak bulā diyā kin ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.