ham-dam rahe rafiq rahe mehrban rahe
ham-dam rahe rafīq rahe mehrbāñ rahe
har rañg meñ raqīb mere pāsbāñ rahe
be-bas rahe nahīf rahe nā-tavāñ rahe
lekin talāsh-e-yār meñ ham sar-garāñ rahe
bulbul chaman meñ shāḳh pe gul shādmāñ rahe
ham husn-e-ittifāq se be-ḳhānumāñ rahe
kaisā qarār aur sukūñ kaisī āfiyat
jab bijliyoñ kī zad meñ merā āshiyāñ rahe
ham-dam rahe rafiq rahe mehrban rahe
har rang mein raqib mere pasban rahe
be-bas rahe nahif rahe na-tawan rahe
lekin talash-e-yar mein hum sar-garan rahe
bulbul chaman mein shaKH pe gul shadman rahe
hum husn-e-ittifaq se be-KHanuman rahe
kaisa qarar aur sukun kaisi aafiyat
jab bijliyon ki zad mein mera aashiyan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.