duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
duniyā ke sitam yaad na apnī hī vafā yaad
ab mujh ko nahīñ kuchh bhī mohabbat ke sivā yaad
maiñ shikva-ba-lab thā mujhe ye bhī na rahā yaad
shāyad ki mire bhūlne vaale ne kiyā yaad
chheḌā thā jise pahle-pahal terī nazar ne
ab tak hai vo ik naġhma-e-be-sāz-o-sadā yaad
jab koī hasīñ hotā hai sargarm-e-navāzish
us vaqt vo kuchh aur bhī aate haiñ sivā yaad
kyā jāniye kyā ho gayā arbāb-e-junūñ ko
jiine kī adā yaad na marne kī adā yaad
muddat huī ik hādisa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tire dil ke dhaḌakne kī sadā yaad
haañ haañ tujhe kyā kaam mirī shiddat-e-ġham se
haañ haañ nahīñ mujh ko tire dāman kī havā yaad
maiñ tark-e-rah-o-rasm-e-junūñ kar hī chukā thā
kyuuñ aa ga.ī aise meñ tirī laġhzish-e-pā yaad
kyā lutf ki maiñ apnā pata aap batā.ūñ
kiije koī bhūlī huī ḳhaas apnī adā yaad
duniya ke sitam yaad na apni hi wafa yaad
ab mujh ko nahin kuchh bhi mohabbat ke siwa yaad
main shikwa-ba-lab tha mujhe ye bhi na raha yaad
shayad ki mere bhulne wale ne kiya yaad
chheDa tha jise pahle-pahal teri nazar ne
ab tak hai wo ek naghma-e-be-saz-o-sada yaad
jab koi hasin hota hai sargarm-e-nawazish
us waqt wo kuchh aur bhi aate hain siwa yaad
kya jaaniye kya ho gaya arbab-e-junun ko
jine ki ada yaad na marne ki ada yaad
muddat hui ek hadisa-e-ishq ko lekin
ab tak hai tere dil ke dhaDakne ki sada yaad
han han tujhe kya kaam meri shiddat-e-gham se
han han nahin mujh ko tere daman ki hawa yaad
main tark-e-rah-o-rasm-e-junun kar hi chuka tha
kyun aa gai aise mein teri laghzish-e-pa yaad
kya lutf ki main apna pata aap bataun
kije koi bhuli hui KHas apni ada yaad
- Book : Kulliyat-e-Jigar (Pg. 40)
- Author : Jigar Muradabadi
- Publication : Educational Publishing House, Delhi (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.