dur se baat ḳhush nahīñ aatī
duur se baat ḳhush nahīñ aatī
yuuñ mulāqāt ḳhush nahīñ aatī
tujh bin ai māh-rū kabhī mujh ko
chāñdnī raat ḳhush nahīñ aatī
jaa.e bosa ke gāliyāñ diije
ye ināyāt ḳhush nahīñ aatī
na mai-o-jām hai na saaqī hai
aisī barsāt ḳhush nahīñ aatī
us ke mazkūr ke sivā 'bedār'
aur kuchh baat ḳhush nahīñ aatī
dur se baat ḳhush nahīñ aatī
yuñ mulāqāt ḳhush nahīñ aatī
tujh bin ai māh-rū kabhī mujh ko
chāñdnī raat ḳhush nahīñ aatī
jae bosa ke gāliyāñ dije
ye ināyāt ḳhush nahīñ aatī
na mai-o-jām hai na saqī hai
aisī barsāt ḳhush nahīñ aatī
us ke mazkūr ke siwā 'bedār'
aur kuchh baat ḳhush nahīñ aatī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.