ek dam mein koh surma kare hai sharar-e-dard
ek dam meñ koh surma kare hai sharār-e-dard
ye jism-e-zār kyuuñ na ho jal kar ġhubār-e-dard
chashmoñ suuñ dekh phūle gul-e-shāḳhsār-e-dard
ashk-e-rañgīñ suuñ kiyā hai bahār-e-dard
aa dekh to safā-e-mohabbat ko mere shaiḳh
chhānā hai apne parda-e-dil suuñ ġhubār-e-dard
jaisā ki dard-e-charḳh meñ rahtā huuñ be-qarār
mijmar meñ kab sipand rahe be-qarār-e-dard
kyuuñ aa ke jāñ-gusil na ho āh-o-fuġhāñ mirī
jaama hova hai chañg sifat tār-tār dard
ek dam mein koh surma kare hai sharar-e-dard
ye jism-e-zar kyun na ho jal kar ghubar-e-dard
chashmon sun dekh phule gul-e-shaKHsar-e-dard
ashk-e-rangin sun kiya hai bahaar-e-dard
aa dekh to safa-e-mohabbat ko mere shaiKH
chhana hai apne parda-e-dil sun ghubar-e-dard
jaisa ki dard-e-charKH mein rahta hun be-qarar
mijmar mein kab sipand rahe be-qarar-e-dard
kyun aa ke jaan-gusil na ho aah-o-fughan meri
jama howa hai chang sifat tar-tar dard
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.