Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ek hi tarah pe har shaKHs ki qismat na hui

Kamil Shattari

ek hi tarah pe har shaKHs ki qismat na hui

Kamil Shattari

MORE BYKamil Shattari

    ek tarah pe har shaḳhs qismat na huī

    sab ke hisse tire ġham masarrat na huī

    vo mohabbat tirī jis par mirā sab kuchh bhī nisār

    vo mirā dil hai ke jis koī qīmat na huī

    aisā begāna ġham-e-lazzat ġham kyā jaane

    jis ko tā-umr kisī se bhī mohabbat na huī

    haaye kam-baḳht nasība tire mahjūroñ

    ii.d ke din bhī unheñ koī masarrat na huī

    vaqt par dāġh-e-mohabbat mere kaam aayā

    mujh se pursis nakīrain ko jur.at na huī

    aap ke parde ne jab aap sūrat le

    yuuñ bhī kyā faash pas-e-parda haqīqat na huī

    dekhnā shokHī-e-tohmat ki vo farmāte haiñ

    kyā ḳhamoshī bhī tirī husn-e-shikāyat na huī

    kal ġham kyuuñ ho ki hoñ aap pāmāl-e-ḳhirām

    kyā mere sāmne sau baar qiyāmat na huī

    be-kasī tere sivā kis ne mirā saath diyā

    koī Dhāras bhī sharīk-e-ġham-e-ġhurbat na huī

    aa gayā kaam kisī vaqt marnā 'kāmil'

    mujh tak aane mirī maut ko zahmat na huī

    ek hi tarah pe har shaKHs ki qismat na hui

    sab ke hisse ki tere gham ki masarrat na hui

    wo mohabbat teri jis par mera sab kuchh bhi nisar

    wo mera dil hai ke jis ki koi qimat na hui

    aisa begana gham-e-lazzat gham kya jaane

    jis ko ta-umr kisi se bhi mohabbat na hui

    haye kam-baKHt nasiba tere mahjuron ka

    id ke din bhi unhen koi masarrat na hui

    waqt par dagh-e-mohabbat hi mere kaam aaya

    mujh se pursis ki nakirain ko jurat na hui

    aap ke parde ne jab aap ki surat le li

    yun bhi kya fash pas-e-parda haqiqat na hui

    dekhna shokHi-e-tohmat ki wo farmate haiñ

    kya KHamoshi bhi teri husn-e-shikayat na hui

    kal ka gham kyun ho ki hon aap ka pamal-e-KHiram

    kya mere samne sau bar qiyamat na hui

    be-kasi tere siwa kis ne mera sath diya

    koi Dhaaras bhi sharik-e-gham-e-ghurbat na hui

    aa gaya kaam kisi waqt ka marna 'kaamil'

    mujh tak aane ki meri maut ko zahmat na hui

    Source :
    • Book : Wardat-e-Kamil (Pg. 269)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now