be-KHabar jab tak rahe anjam se
be-ḳhabar jab tak rahe anjām se
zindagī guzrī baḌe ārām se
ātish-e-ġham ghol dī kis riñd ne
aaj sho.ale uTh rahe haiñ jaam se
kātib-e-taqdīr dhoka khā gayā
maut likh dī zindagī ke naam se
sunte haiñ 'kaifī' hadīs-e-mai-kashī
mai se saaqī se subū se jaam se
be-KHabar jab tak rahe anjam se
zindagi guzri baDe aaram se
aatish-e-gham ghol di kis rind ne
aaj shoale uTh rahe hain jam se
katib-e-taqdir dhoka kha gaya
maut likh di zindagi ke nam se
sunte hain 'kaifi' hadis-e-mai-kashi
mai se saqi se subu se jam se
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 269)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.