tera gham rahe salamat yahi meri zindagi hai
tirā ġham rahe salāmat yahī merī zindagī hai
tire ġham se mere jānāñ mire dil meñ raushnī hai
mirī mai-kashī kā hāsil vo sharāb ban ga.ī hai
jo milī tirī nazar se jo tirī nazar se pī hai
tujhe sāmne biThā kar sadā pūjtā rahūñ maiñ
hai yahī mirī 'ibādat yahī merī bandagī hai
mire dil meñ basne vaale tujhe kaise bhuul jā.ūñ
tirā 'ishq merā maz.hab tirī yaad zindagī hai
mirī iltijā hai tujh se mirī bandagī badal de
ki tire karam mirī jaañ mirī lau lagī huī hai
maiñ faqīr-e-āstāñ huuñ mirī laaj rakh ḳhudārā
ye jabīn-e-shauq merī tire dar pe jhuk ga.ī hai
maiñ 'fanā' kī manziloñ meñ huuñ 'fanā' ki baa'd zinda
tirī aarzū meñ miT kar mujhe zindagī milī hai
tera gham rahe salamat yahi meri zindagi hai
tere gham se mere jaanan mere dil mein raushni hai
meri mai-kashi ka hasil wo sharab ban gai hai
jo mili teri nazar se jo teri nazar se pi hai
tujhe samne biTha kar sada pujta rahun main
hai yahi meri 'ibaadat yahi meri bandagi hai
mere dil mein basne wale tujhe kaise bhul jaun
tera 'ishq mera mazhab teri yaad zindagi hai
meri iltija hai tujh se meri bandagi badal de
ki tere karam meri jaan meri lau lagi hui hai
main faqir-e-astan hun meri laj rakh KHudara
ye jabin-e-shauq meri tere dar pe jhuk gai hai
main 'fana' ki manzilon mein hun 'fana' ki ba'd zinda
teri aarzu mein miT kar mujhe zindagi mili hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.