kahin sukun na mila dil ko bazm-e-yar ke baad
kahīñ sukūñ na milā dil ko bazm-e-yār ke baa'd
ki be-qarār rahī zindagī qarār ke baa'd
uThe na paañv mohabbat kī rahguzār ke baa'd
koī qiyām nahīñ hai tire dayār ke baa'd
qabā.eñ chaak to karte raheñ dīvāne
kabhī bahār se pahle kabhī bahār ke baa'd
sharāb-e-'ishq kā mai-kash rahā sadā mad.hosh
terī nigāh kī mastī chaḌhī ḳhumār ke baa'd
nigāh-e-shauq ne donoñ jahāñ ko chhān liyā
milā na rañg koī jalva-gah-e-yār ke baa'd
talab hai us kī to ho jaao qatl 'ishq-e-'fanā'
milī haiñ 'azmateñ mansūr ko bhī daar ke baa'd
kahin sukun na mila dil ko bazm-e-yar ke ba'd
ki be-qarar rahi zindagi qarar ke ba'd
uThe na panw mohabbat ki rahguzar ke ba'd
koi qiyam nahin hai tere dayar ke ba'd
qabaen chaak to karte rahen diwane
kabhi bahaar se pahle kabhi bahaar ke ba'd
sharab-e-'ishq ka mai-kash raha sada madhosh
teri nigah ki masti chaDhi KHumar ke ba'd
nigah-e-shauq ne donon jahan ko chhan liya
mila na rang koi jalwa-gah-e-yar ke ba'd
talab hai us ki to ho jao qatl 'ishq-e-'fana'
mili hain 'azmaten mansur ko bhi dar ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.