harim-e-shah mein dekhi na KHanqah mein hai
harīm-e-shāh meñ dekhī na ḳhānqāh meñ hai
jo shān-e-banda-navāzī terī nigāh meñ hai
nigāh jab se tere husn kī panāh meñ hai
har ik maqām-e-mohabbat merī nigāh meñ hai
ye but-kade ye haram jis kī jalva-gāh meñ hai
vo mere saath azal se junūñ kī raah meñ hai
man na ganjam dar zamīn-o-āsmāñ man che ganjam siina az pinhāñ
vo mere saath azal se junūñ kī raah meñ hai
ye un kā dar hai yahāñ sar uThā ke kaun chale
yahāñ pe sar hī nahīñ dil bhī sajda-gāh meñ hai
merī jabīñ kī taraf jhuk rahe kaun-o-makāñ
ye kis kā naqsh-e-qadam aaj sajda-gāh meñ hai
tere karam ne jo rutba 'atā kiyā hai mujhe
ye martaba na gadā meñ na bādshāh meñ hai
na aayā hosh use jis pe paḌh ga.ī ek baar
ye kaisī mastī na jaa.e terī nigāheñ hai
tere 'itāb se ye raaz khul gayā hai sanam
terā karam bhī yahāñ parda-e-gunāh meñ hai
tere jamāl kā sadqa hai ai mere jānāñ
ye raushnī bhī abhī tak jo mehr-o-māh meñ hai
gunāhgār-e-mohabbat pe ye 'atā terī
tere karam kī tajallī mere gunāh meñ hai
batā rahī hai 'fanā' shān-e-be-niyāzāna
adā-e-'ishq bhī kuchh husn-e-kaj-kulāh meñ hai
harim-e-shah mein dekhi na KHanqah mein hai
jo shan-e-banda-nawazi teri nigah mein hai
nigah jab se tere husn ki panah mein hai
har ek maqam-e-mohabbat meri nigah mein hai
ye but-kade ye haram jis ki jalwa-gah mein hai
wo mere sath azal se junun ki rah mein hai
man na ganjam dar zamin-o-asman man che ganjam sina az pinhan
wo mere sath azal se junun ki rah mein hai
ye un ka dar hai yahan sar uTha ke kaun chale
yahan pe sar hi nahin dil bhi sajda-gah mein hai
meri jabin ki taraf jhuk rahe kaun-o-makan
ye kis ka naqsh-e-qadam aaj sajda-gah mein hai
tere karam ne jo rutba 'ata kiya hai mujhe
ye martaba na gada mein na baadshah mein hai
na aaya hosh use jis pe paDh gai ek bar
ye kaisi masti na jae teri nigahen hai
tere 'itab se ye raaz khul gaya hai sanam
tera karam bhi yahan parda-e-gunah mein hai
tere jamal ka sadqa hai ai mere jaanan
ye raushni bhi abhi tak jo mehr-o-mah mein hai
gunahgar-e-mohabbat pe ye 'ata teri
tere karam ki tajalli mere gunah mein hai
bata rahi hai 'fana' shan-e-be-niyazana
ada-e-'ishq bhi kuchh husn-e-kaj-kulah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.