barq ko jitni shohrat mili
barq ko jitnī shohrat milī
āshiyāñ kī badaulat milī
zabt-e-ġham kī ye qīmat milī
bevafā.ī kī tohmat milī
un ko gul kā muqaddar milā
mujh ko shabnam kī qismat milī
qalb-e-mai-ḳhvār ko chhoḌ kar
mujh ko har dil meñ nafrat milī
umr to kam milī sham.a ko
zindagī ḳhūbsūrat milī
maut laa.ī na.ī zindagī
maiñ to samjhā thā fursat milī
har gunahgār ko ai 'fanā'
god phailā.e rahmat milī
barq ko jitni shohrat mili
aashiyan ki badaulat mili
zabt-e-gham ki ye qimat mili
bewafai ki tohmat mili
un ko gul ka muqaddar mila
mujh ko shabnam ki qismat mili
qalb-e-mai-KHwar ko chhoD kar
mujh ko har dil mein nafrat mili
umr to kam mili shama ko
zindagi KHubsurat mili
maut lai nai zindagi
main to samjha tha fursat mili
har gunahgar ko ai 'fana'
god phailae rahmat mili
- Book : Fana Nizami "Fan aur Shakhsiyat (Pg. 75)
- Author : Fana Nizami
- Publication : Jigar Academy, Kanpur (2003)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.