Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wo KHanuman-KHarab na kyun dar-ba-dar phire

Fana Nizami Kanpuri

wo KHanuman-KHarab na kyun dar-ba-dar phire

Fana Nizami Kanpuri

MORE BYFana Nizami Kanpuri

    vo ḳhānumāñ-ḳharāb na kyuuñ dar-ba-dar phire

    jis se tirī nigāh mile nazar phire

    rāh-e-junūñ meñ yuuñ to haiñ lākhoñ sar-phire

    yā-rab mirī tarah na koī umr-bhar phire

    raftār yaar agar andāz bhuul jaaye

    gulshan meñ ḳhaak uḌātī nasīm-e-sahar phire

    saaqī ko bhī sikhāte haiñ ādāb-e-mai-kashī

    milte haiñ mai-kade meñ kuchh aise bhī sar-phire

    tark-e-vatan ke ba.ad qadr-e-vatan huī

    barsoñ mirī nigāh meñ dīvār-o-dar phire

    rah jaaye chand rose jo bīmār-e-ġham ke paas

    ḳhud apnā dil dabā.e hue chāragar phire

    maiñ apnā raqs-e-jām tujhe bhī dikhā.uñgā

    ai gardish-e-zamāna mire din agar phire

    merī nigāh meñ to ġhazal hai usī naam

    jis ragoñ meñ dauḌtā ḳhūn-e-jigar phire

    qaid-e-ġham-e-hayāt bhī kyā chiiz hai 'fanā'

    rāh-e-farār mil na sakī umr-bhar phire

    wo KHanuman-KHarab na kyun dar-ba-dar phire

    jis se teri nigah mile ya nazar phire

    rah-e-junun mein yun to hain lakhon hi sar-phire

    ya-rab meri tarah na koi umr-bhar phire

    raftar yar ka agar andaz bhul jaye

    gulshan mein KHak uDati nasim-e-sahar phire

    saqi ko bhi sikhate hain aadab-e-mai-kashi

    milte hain mai-kade mein kuchh aise bhi sar-phire

    tark-e-watan ke baad hi qadr-e-watan hui

    barson meri nigah mein diwar-o-dar phire

    rah jaye chand rose jo bimar-e-gham ke pas

    KHud apna dil dabae hue chaaragar phire

    main apna raqs-e-jam tujhe bhi dikhaunga

    ai gardish-e-zamana mere din agar phire

    meri nigah mein to ghazal hai usi ka nam

    jis ki ragon mein dauDta KHun-e-jigar phire

    qaid-e-gham-e-hayat bhi kya chiz hai 'fana'

    rah-e-farar mil na saki umr-bhar phire

    Source :
    • Book : Fana Nizami "Fan aur Shakhsiyat (Pg. 86)
    • Author : Fana Nizami
    • Publication : Jigar Academy, Kanpur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now