yarab meri hayat se gham ka asar na jae
yārab mirī hayāt se ġham kā asar na jaa.e
jab tak kisī kī zulf-e-pareshāñ sañvar na jaa.e
maiñ un ke sāmne se guzartā huuñ is liye
tark-e-ta.alluqāt kā ehsās mar na jaa.e
mire junūn ko zulf ke saaya se duur rakh
rasta meñ chhāoñ pā ke musāfir Thahar na jaa.e
yarab meri hayat se gham ka asar na jae
jab tak kisi ki zulf-e-pareshan sanwar na jae
main un ke samne se guzarta hun is liye
tark-e-talluqat ka ehsas mar na jae
mere junun ko zulf ke saya se dur rakh
rasta mein chhaon pa ke musafir Thahar na jae
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 241)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.