aaKHir kHuda-e-be-nishan aaya nazar sifat mein
āḳhir kHudā-e-be-nishāñ aayā nazar sifāt meñ
sunte to the azal se hī dekhā kisī kī zaat meñ
hastī kī is kitāb ke ma.anoñ pe ḳhuub ġhaur kar
lākhoñ qur.ān haiñ nihāñ riñd kī kā.ināt meñ
bande kā aur zaat kā koī bhī fāslā nahīñ
jis tarah din meñ raat hai vaise hī din hai raat meñ
na merī ibtidā koī na merī intihā koī
maiñ hī to ik subūt huuñ duniyā-e-be-sabāt meñ
shān-e-faqīr hai yahī donoñ jahāñ se be-niyāz
ab faqīrī rah ga.ī le de ke pārchāt meñ
terā bhalā ho 'qādrī' merā bharam miTā diyā
ab kyuuñ rind-e-be-riyā uljhe takallufāt meñ
aaKHir kHuda-e-be-nishan aaya nazar sifat mein
sunte to the azal se hi dekha kisi ki zat mein
hasti ki is kitab ke manon pe KHub ghaur kar
lakhon quran hain nihan rind ki kainat mein
bande ka aur zat ka koi bhi fasla nahin
jis tarah din mein raat hai waise hi din hai raat mein
na meri ibtida koi na meri intiha koi
main hi to ek subut hun duniya-e-be-sabaat mein
shan-e-faqir hai yahi donon jahan se be-niyaz
ab faqiri rah gai le de ke parchat mein
tera bhala ho 'qadri' mera bharam miTa diya
ab kyun rind-e-be-riya uljhe takallufat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.