nale paiham dil se ab aane lage
naale paiham dil se ab aane lage
hazrat-e-dil shāyad ab jaane lage
ham-safīro abkī fasl-e-gul meñ tum
ātish-e-dil aur bhaḌkāne lage
dil gayā aur vasl bhī hāsil nahīñ
'ishq se ham saḳht ghabrāne lage
dekhte the ham tamāshā ġhair kā
ab tamāshā apnā dikhlāne lage
sher hai ai fard yā afsūñ sahr
aap bhī ye tarz farmāne lage
nale paiham dil se ab aane lage
hazrat-e-dil shayad ab jaane lage
ham-safiro abki fasl-e-gul mein tum
aatish-e-dil aur bhaDkane lage
dil gaya aur wasl bhi hasil nahin
'ishq se hum saKHt ghabrane lage
dekhte the hum tamasha ghair ka
ab tamasha apna dikhlane lage
sher hai ai fard ya afsun sahr
aap bhi ye tarz farmane lage
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 25)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.