Sufinama

farhad kis ummid pe lata hai ju-e-shir

Ehsanullah Khan Bayan

farhad kis ummid pe lata hai ju-e-shir

Ehsanullah Khan Bayan

MORE BYEhsanullah Khan Bayan

    farhād kis ummīd pe laatā hai jū-e-shīr

    vaañ ḳhuun havas hai nahīñ ārzū-e-shīr

    hai us javāñ baat meñ ab to lahū baas

    ve din ga.e ki aatī thī us muñh se bū-e-shīr

    hote sub.h aah gayā māh-e-chār-dah

    sābit huā mujhe ki namak hai adū-e-shīr

    hasrat dil meñ kohkan āḳhir ye le gayā

    shīrīñ ne apnī āñkhoñ bhī dekhā na rū-e-shīr

    us duudh ḳhudā kare kaasa hameñ nasīb

    jannat meñ panj-tan jo bahtī hai jū-e-shīr

    āshiq haiñ apne ḳhūn-e-jigar-ḳhvār zahr-nosh

    raġhbat taraf shakar ke hai un ko na sū-e-shīr

    jin ko baġhair sa.ī vo shīrīñ-dahan mile

    kho deñ na koh vo na kareñ justujū-e-shīr

    milte us se dil girah mere khul ga.ī

    uqde shakar ke jaise khuleñ rū-ba-rū-e-shīr

    phir duudh buḌhāpe meñ aave na muñh se baas

    āḳhir kahāñ talak ye 'bayāñ' guftugū-e-shīr

    farhad kis ummid pe lata hai ju-e-shir

    wan KHun ki hawas hai nahin aarzu-e-shir

    hai us jawan ki baat mein ab to lahu ki bas

    we din gae ki aati thi us munh se bu-e-shir

    hote hi subh aah gaya mah-e-chaar-dah

    sabit hua mujhe ki namak hai adu-e-shir

    hasrat hi dil mein kohkan aaKHir ye le gaya

    shirin ne apni aankhon bhi dekha na ru-e-shir

    us dudh ka KHuda kare kasa hamein nasib

    jannat mein panj-tan ki jo bahti hai ju-e-shir

    aashiq hain apne KHun-e-jigar-KHwar zahr-nosh

    raghbat taraf shakar ke hai un ko na su-e-shir

    jin ko baghair sai wo shirin-dahan mile

    kho den na koh wo na karen justuju-e-shir

    milte hi us se dil ki girah mere khul gai

    uqde shakar ke jaise khulen ru-ba-ru-e-shir

    phir dudh ki buDhape mein aawe na munh se bas

    aaKHir kahan talak ye 'bayan' guftugu-e-shir

    Source :
    • Book : Diwan-e-Bayan Edited: Arjumand Ara (Pg. 97)
    • Author : Ahsanullaah Khan Bayan
    • Publication : Anjumat Taraqqi Urdu (Hind) New Delhi (2004)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now