Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ishq ba-ru-e-kar hua hai andar-andar pinhan-pinhan

Fatima Hussaini Makhfi

ishq ba-ru-e-kar hua hai andar-andar pinhan-pinhan

Fatima Hussaini Makhfi

MORE BYFatima Hussaini Makhfi

    'ishq ba-rū-e-kār huā hai andar-andar pinhāñ-pinhāñ

    paikar-e-ḳhākī raushan-raushan ruuh ke jalve tābāñ-tābāñ

    husn ba-har andāz-e-tajallī raakh kiye detā hai hastī

    'ishq ba-har andāz-e-kalīmī ek jhalak par qurbāñ-qurbāñ

    jumbish-e-chashm-e-nāz hai kis jis se farozāñ shama'-e-hastī

    ek pal meñ raqsāñ-raqsāñ ik pal meñ larzāñ-larzāñ

    andeshoñ riit pe ham ne naqsh yaqīñ ke ubhre dekhe

    kis ke bharose kar baiThe ham aisī mushkil āsāñ-āsāñ

    dil bāteñ ruuh ke jalve ḳhvāb vus.at ham ham haiñ

    kaise samajh baiThī ye duniyā ham ko ḳhākī arzāñ-arzāñ

    apnā falak ko chhoḌ ke ham bhī ġharq hue dariyā-e-junūñ meñ

    kal phir sūraj se ubhreñge karne sabko hairāñ-hairāñ

    husn mirī āñkhoñ partav merī nigāheñ phir bhī parda

    'maḳhfī' haiñ jo rāz-e-nihānī kaun karegā 'uryāñ-'uryāñ

    'ishq ba-ru-e-kar hua hai andar-andar pinhan-pinhan

    paikar-e-KHaki raushan-raushan ruh ke jalwe taban-taban

    husn ba-har andaz-e-tajalli rakh kiye deta hai hasti

    'ishq ba-har andaz-e-kalimi ek jhalak par qurban-qurban

    jumbish-e-chashm-e-naz hai kis ki jis se farozan shama'-e-hasti

    ek hi pal mein raqsan-raqsan ek hi pal mein larzan-larzan

    andeshon ki rit pe hum ne naqsh yaqin ke ubhre dekhe

    kis ke bharose kar baiThe hum aisi mushkil aasan-asan

    dil ki baaten ruh ke jalwe KHwab ki wusat hum hi hum hain

    kaise samajh baiThi ye duniya hum ko KHaki arzan-arzan

    apna falak ko chhoD ke hum bhi gharq hue dariya-e-junun mein

    kal phir suraj se ubhrenge karne sabko hairan-hairan

    husn meri aankhon ka partaw meri nigahen phir bhi parda

    'maKHfi' hain jo raaz-e-nihani kaun karega 'uryan-'uryan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now