Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

zaKHm raazi rahe nashtar ki pazirai ko

Fatima Hussaini Makhfi

zaKHm raazi rahe nashtar ki pazirai ko

Fatima Hussaini Makhfi

MORE BYFatima Hussaini Makhfi

    zaḳhm raazī rahe nashtar pazīrā.ī ko

    aap aa.e nahīñ kār-e-masīhā.ī ko

    fahm-e-hastī na kahīñ vahm-o-gumāñ ho jaa.e

    ruḳh de parda jo uThā deñ vo shanāsā.ī ko

    hosh-mandī taqāza hai to phir yuuñ kījiye

    aap āñkhoñ se churā lījiye bīnā.ī ko

    tujh pe tuf hai ki tujhe husn 'irfān nahīñ

    ne āvāra samajh rakkhā hai lailā.ī ko

    sozan-o-ḳhār se vābasta hai har resha-e-dil

    'ishq ik surḳh qabā māñge hai zebā.ī ko

    daman-e-kHār se lipTī haiñ hazāroñ kaliyāñ

    kuchh tahaffuz bhī yahāñ chāhiye rā'nā.ī ko

    apnī sūrat meñ chhupā rakkhī hai 'maḳhfī' sūrat

    ā.īna qaid kiye baiThā hai harjā.ī ko

    zaKHm raazi rahe nashtar ki pazirai ko

    aap aae hi nahin kar-e-masihai ko

    fahm-e-hasti na kahin wahm-o-guman ho jae

    ruKH de parda jo uTha den wo shanasai ko

    hosh-mandi ka taqaza hai to phir yun kijiye

    aap aankhon se chura lijiye binai ko

    tujh pe tuf hai ki tujhe husn ka 'irfan nahin

    tu ne aawara samajh rakkha hai lailai ko

    sozan-o-KHar se wabasta hai har resha-e-dil

    'ishq ek surKH qaba mange hai zebai ko

    daman-e-kHar se lipTi hain hazaron kaliyan

    kuchh tahaffuz bhi yahan chahiye ra'nai ko

    apni surat mein chhupa rakkhi hai 'maKHfi' surat

    aaina qaid kiye baiTha hai harjai ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now