azal se hua zahir aasar-e-ishq
azal se huā zāhir āsār-e-ishq
abad tak rahe gā ye āzār-e-ishq
ye mansūr bolā sar-e-dār-e-ishq
maiñ sar de ke hotā huuñ sar-dār-e-ishq
girā chāh-e-bābul meñ hārūt bhī
farishtoñ se rakhtā nahīñ dār-e-ishq
na bāvar ho to sūra-yūsuf paḌho
ḳhudā kī zabāñ par hai azkār-e-ishq
azal se hua zahir aasar-e-ishq
abad tak rahe ga ye aazar-e-ishq
ye mansur bola sar-e-dar-e-ishq
main sar de ke hota hun sar-dar-e-ishq
gira chah-e-babul mein haarut bhi
farishton se rakhta nahin dar-e-ishq
na bawar ho to sura-yusuf paDho
KHuda ki zaban par hai azkar-e-ishq
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 37)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.