Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

firāq-e-yār ne bechain mujhko raat bhar rakkhā

Ameer Minai

firāq-e-yār ne bechain mujhko raat bhar rakkhā

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    firāq-e-yār ne bechain mujh ko raat bhar rakkhā

    kabhī takiya idhar rakkhā kabhī takiya idhar rakkhā

    shikast-e-dil baaqī ham ne ġhurbat meñ asar rakhā

    likhā ahl-e-vatan ko ḳhat to ik gosha katar rakkhā

    barābar ā.īne ke bhī na samjhe qadr vo dil

    ise zer-e-qadam rakkhā use pesh-e-nazar rakkhā

    miTā.e dīda-o-dil donoñ mere ashk-e-ḳhūnīñ ne

    ajab ye tifl abtar thā na ghar rakkhā na dar rakkhā

    tumhāre sañg-e-dar ek TukḌā bhī jo haath aayā

    aziiz aisā kiyā mar kar use chhātī pe dhar rakkhā

    jināñ meñ saath apne kyuuñ na le jā.ūñgā nāseh ko

    sulūk aisā mere saath hai hazrat ne kar rakkhā

    na kis ne sifārish merī vaqt-e-qatl qātil se

    kamāñ ne haath joḌe teġh ne qadmoñ pe sar rakkhā

    ġhazab barse vo mere aate ma.alūm hotā hai

    jagah ḳhālī jo paa.ī yaar ko ġhairoñ ne bhar rakkhā

    baḌā ehsāñ hai mere sar pe us laġhzish-e-pā

    ki is ne be-tahāshā haath mere dosh par rakkhā

    zamīñ meñ dāna-e-gandum sadaf meñ ham hue gauhar

    hamāre ijz ne har ma.arka meñ ham ko dar rakkhā

    tire har naqsh-e-pā ko rahguzar meñ sajda-gah samjhe

    jahāñ ne qadam rakkhā vahāñ maiñ ne bhī sar rakkhā

    amiir achchhā shagūn-e-mai kiyā saaqī furqat meñ

    jo barsā abr-e-rahmat jā-e-mai shīshoñ meñ bhar rakkhā

    firāq-e-yār ne bechain mujh ko raat bhar rakkhā

    kabhī takiya idhar rakkhā kabhī takiya idhar rakkhā

    shikast-e-dil baqī hum ne ġhurbat meñ asar rakhā

    likhā ahl-e-watan ko ḳhat to ek gosha katar rakkhā

    barābar āīne ke bhī na samjhe qadr wo dil

    ise zer-e-qadam rakkhā use pesh-e-nazar rakkhā

    miTāe dīda-o-dil donoñ mere ashk-e-ḳhūnīñ ne

    ajab ye tifl abtar thā na ghar rakkhā na dar rakkhā

    tumhāre sañg-e-dar ek TukḌā bhī jo hath aayā

    aziz aisā kiyā mar kar use chhātī pe dhar rakkhā

    jināñ meñ sath apne kyuñ na le jāūñgā nāseh ko

    sulūk aisā mere sath hai hazrat ne kar rakkhā

    na kis ne sifārish merī waqt-e-qatl qātil se

    kamāñ ne hath joḌe teġh ne qadmoñ pe sar rakkhā

    ġhazab barse wo mere aate malūm hotā hai

    jagah ḳhālī jo paī yar ko ġhairoñ ne bhar rakkhā

    baḌā ehsāñ hai mere sar pe us laġhzish-e-pā

    ki is ne be-tahāshā hath mere dosh par rakkhā

    zamīñ meñ dāna-e-gandum sadaf meñ hum hue gauhar

    hamāre ijz ne har marka meñ hum ko dar rakkhā

    tere har naqsh-e-pā ko rahguzar meñ sajda-gah samjhe

    jahāñ ne qadam rakkhā wahāñ maiñ ne bhī sar rakkhā

    amir achchhā shagūn-e-mai kiyā saqī furqat meñ

    jo barsā abr-e-rahmat jā-e-mai shīshoñ meñ bhar rakkhā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now