fughan ke sath lab tak dam-ba-dam aane se kya hasil
fuġhāñ ke saath lab tak dam-ba-dam aane se kyā hāsil
dil-e-muztar ko samjhā do ki ghabrāne se kyā hāsil
jo peshānī kā likhā hai vo pesh aanā zarūrī hai
to phir taqdīr kī bātoñ pe ġham khāne se kyā hāsil
nasīhat ham se dīvāne kahīñ sun kar sambhalte haiñ
koī nāseh ko samjhā de ki samjhāne se kyā hāsil
jo marnā hai to ham bhī mar miTeñge kū-e-jānāñ meñ
kisī jañgal meñ jā ke sar ko Takrāne se kyā hāsil
hamārī jāñ-nisārī bhī kisī din aazmā dekho
ye qisse lailā-o-majnūñ ke paḌhvāne se kyā hāsil
nigāh-e-mast saaqī se hai bazm-e-mai kī kaifiyat
hameñ phir sāġhar-o-mīnā-o-mai-kHāne se kyā hāsil
fughan ke sath lab tak dam-ba-dam aane se kya hasil
dil-e-muztar ko samjha do ki ghabrane se kya hasil
jo peshani ka likha hai wo pesh aana zaruri hai
to phir taqdir ki baaton pe gham khane se kya hasil
nasihat hum se diwane kahin sun kar sambhalte hain
koi naseh ko samjha de ki samjhane se kya hasil
jo marna hai to hum bhi mar miTenge ku-e-jaanan mein
kisi jangal mein ja ke sar ko Takrane se kya hasil
hamari jaan-nisari bhi kisi din aazma dekho
ye qisse laila-o-majnun ke paDhwane se kya hasil
nigah-e-mast saqi se hai bazm-e-mai ki kaifiyat
hamein phir saghar-o-mina-o-mai-kHane se kya hasil
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 109)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.