gada hai na koi na yan shah hai
gadā hai na koī na yaañ shaah hai
haqīqat meñ allāh hī allāh hai
maiñ martā huuñ aur us ko parvā nahīñ
'abas kahte haiñ dil-badil raah hai
samad yā sanam kā guzar yaañ kahāñ
is ātish-kada meñ tire aah hai
mujāvir jahāñ 'ishq ho shaiḳh jī
kaho kaun sī aisī dargāh hai
ḳhabar hai ki aatā hai vo aaj 'ishq
ḳhudā jaane sach hai ki afvāh hai
gada hai na koi na yan shah hai
haqiqat mein allah hi allah hai
main marta hun aur us ko parwa nahin
'abas kahte hain dil-badil rah hai
samad ya sanam ka guzar yan kahan
is aatish-kada mein tere aah hai
mujawir jahan 'ishq ho shaiKH ji
kaho kaun si aisi dargah hai
KHabar hai ki aata hai wo aaj 'ishq
KHuda jaane sach hai ki afwah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.