ghamza paikan hua jata hai
ġhamza paikān huā jaatā hai
dil kā armān huā jaatā hai
dekh kar uljhī huī zulf un kī
dil pareshān huā jaatā hai
terī vahshat kī badaulat ai dil
ghar bayābān huā jaatā hai
sāz-o-sāmāñ kā na honā hī mujhe
sāz-o-sāmān huā jaatā hai
mushkil āsān huī jaatī hai
kyuuñ pareshān huā jaatā hai
dil se jaate haiñ mire sabr-o-qarār
ghar ye vīrān huā jaatā hai
dil kī rag rag meñ samā kar 'bedam'
dard to jaan huā jaatā hai
ghamza paikan hua jata hai
dil ka arman hua jata hai
dekh kar uljhi hui zulf un ki
dil pareshan hua jata hai
teri wahshat ki badaulat ai dil
ghar bayaban hua jata hai
saz-o-saman ka na hona hi mujhe
saz-o-saman hua jata hai
mushkil aasan hui jati hai
kyun pareshan hua jata hai
dil se jate hain mere sabr-o-qarar
ghar ye viran hua jata hai
dil ki rag rag mein sama kar 'bedam'
dard to jaan hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.