gar azm kare uski tajalli ke bayan ka
gar azm kare us kī tajallī ke bayāñ kā
raushan hī jale sham.a-sifat taaza zabāñ kā
kab tiir ḳhatā hue us abrū ke kamāñ kā
us sīnā-e-zaḳhmī se samajh haal nishāñ kā
hai dil pe mare naqsh ki vo naama syaah ho
tālib jo hue misl naam nām-o-nishāñ kā
dekhe jo koī hañsne meñ is tañg dahan ko
khul jāvai hai raaz us ke uupar donoñ jahāñ kā
nuqta pe dahan ke kabhī us ḳhat kuuñ jo dekhe
kab hosh bajā rahtā hai vaañ hāshiya-dāñ kā
gar azm kare us ki tajalli ke bayan ka
raushan hi jale shama-sifat taza zaban ka
kab tir KHata hue us abru ke kaman ka
us sina-e-zaKHmi se samajh haal nishan ka
hai dil pe mare naqsh ki wo nama syah ho
talib jo hue misl nam nam-o-nishan ka
dekhe jo koi hansne mein is tang dahan ko
khul jawai hai raaz us ke upar donon jahan ka
nuqta pe dahan ke kabhi us KHat kun jo dekhe
kab hosh baja rahta hai wan hashiya-dan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.