Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

gar isī tarah saj banāiyegā

Meer Muhammad Bedar

gar isī tarah saj banāiyegā

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    gar isī tarah saj banā.iyegā

    mahshar ābād kar dikhā.iyegā

    umr va.adoñ meñ gañvā.iyegā

    ā.iyegā bhī na ā.iyegā

    mehrbāñ qadar jāniye merī

    mujh muḳhlis kahīñ na pā.iyegā

    yahī qāmat hai gar yahī raftār

    hashr barpā kar dikhā.iyegā

    yahī ronā agar hai ai añkhiyoñ

    ḳhān-e-mardumāñ Dubā.iyegā

    māh-rūyāñ kahāñ talak ham ko

    ātish-e-hijr meñ jalā.iyegā

    zabt-e-girya na hovegā juuñ sham.a

    soz-e-dil gar tumheñ sunā.iyegā

    husn jaatā hai ḳhat aamad hai

    haañ hameñ kyuuñ na ab manā.iyegā

    muġhtanim jaano ham se muḳhlis ko

    DhūñDiyegā to phir na pā.iyegā

    ye na hogā ki yaañ se uTh jāveñ

    aisī sau bāteñ gar sunā.iyegā

    ek do kyā hazār se bhī ham

    nahīñ Darte agar bulā.iyegā

    aaj jo ho so ho yahī hai azm

    tum ko har tarah le ke jā.iyegā

    jis ne 'bedār' dil liyā merā

    ek din tujh ko bhī dikhā.iyegā

    gar isī tarah saj banāiyegā

    mahshar ābād kar dikhāiyegā

    umr wadoñ meñ gañwāiyegā

    āiyegā bhī na āiyegā

    mehrbāñ qadar jāniye merī

    mujh muḳhlis kahīñ na pāiyegā

    yahī qāmat hai gar yahī raftār

    hashr barpā kar dikhāiyegā

    yahī ronā agar hai ai añkhiyoñ

    ḳhān-e-mardumāñ Dubāiyegā

    māh-rūyāñ kahāñ talak hum ko

    ātish-e-hijr meñ jalāiyegā

    zabt-e-girya na howegā juñ shama

    soz-e-dil gar tumheñ sunāiyegā

    husn jatā hai ḳhat aamad hai

    hañ hameñ kyuñ na ab manāiyegā

    muġhtanim jaano hum se muḳhlis ko

    DhūñDiyegā to phir na pāiyegā

    ye na hogā ki yañ se uTh jāweñ

    aisī sau bāteñ gar sunāiyegā

    ek do kyā hazār se bhī hum

    nahīñ Darte agar bulāiyegā

    aaj jo ho so ho yahī hai azm

    tum ko har tarah le ke jāiyegā

    jis ne 'bedār' dil liyā merā

    ek din tujh ko bhī dikhāiyegā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now