Sufinama

gar kahīñ usko jalwa-gar dekhā

Meer Muhammad Bedar

gar kahīñ usko jalwa-gar dekhā

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    gar kahīñ us ko jalva-gar dekhā

    na gayā ham se aañkh bhar dekhā

    naala har chand ham ne gar dekhā

    aah ab tak na kuchh asar dekhā

    aaj kyā meñ aa gayā tere

    mutabassim ho jo idhar dekhā

    ā.īne ko to muñh dikhāte ho

    kyā huā ham ne bhī agar dekhā

    dil-rubā aur bhī haiñ par zālim

    koī tujh na muft par dekhā

    aur bhī sañg-dil huā vo shoḳh

    terā ai aah bas asar dekhā

    minnat o ājizī o zaarī o aah

    tere aage hazār kar dekhā

    to bhī ne na ai mah-e-be-mehr

    nazar-e-rahm se idhar dekhā

    sach hai 'bedār' vo hai āfat-e-jān

    ham ne bhī qissa-muḳhtasar dekhā

    gar kahīñ us ko jalwa-gar dekhā

    na gayā hum se aañkh bhar dekhā

    nala har chand hum ne gar dekhā

    aah ab tak na kuchh asar dekhā

    aaj kyā meñ aa gayā tere

    mutabassim ho jo idhar dekhā

    āīne ko to muñh dikhāte ho

    kyā huā hum ne bhī agar dekhā

    dil-rubā aur bhī haiñ par zālim

    koī tujh na muft par dekhā

    aur bhī sañg-dil huā wo shoḳh

    terā ai aah bas asar dekhā

    minnat o ājizī o zarī o aah

    tere aage hazār kar dekhā

    to bhī ne na ai mah-e-be-mehr

    nazar-e-rahm se idhar dekhā

    sach hai 'bedār' wo hai āfat-e-jān

    hum ne bhī qissa-muḳhtasar dekhā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now