gayā hai jab se dikhā jalwa wo parī-ruḳhsār
gayā hai jab se dikhā jalva vo parī-ruḳhsār
na ḳhvāb dīda-e-giryāñ meñ hai na dil ko qarār
hazār rañg se phūle chaman meñ go gulzār
par us baġhair ḳhush aatī nahīñ mujhe ye bahār
ba-rañg-e-lāla-e-sar mai-kashī nahīñ tujh bin
ki ḳhūn-e-dil se maiñ har roz toḌtā huuñ ḳhumār
guloñ ke muñh pe na ye rañg-e-āb-o-tāb rahe
vo rashk-e-bāġh kare gar udhar ko aa ke guzār
ajab nahiñ ki bahā deve ḳhāna-e-mardum
rahe gar ashk-fishāñ yūñhī dīda-e-ḳhūñ-bār
rihā.ī kyūñki ho yā-rab maiñ is meñ hairāñ huuñ
ki ek dil hai mirā tis pe dard-o-ġham hai hazār
kahā maiñ us but-e-abrū-kamāñ kī ḳhidmat meñ
ḳhadañg-e-jabr ne tere kiyā hai mujh ko nigār
na rahm tere dil-e-saḳht meñ hai ġhair-az-zulm
na mere nāla-e-jāñ-soz meñ asar ai yaar
na taab hijr kī rakhtā huuñ ne umīd-e-visāl
ḳhudā hī jaane ki kyā hogā us kā āḳhir-kār
har ek din mujhe yuuñ sūjhtā hai jī tan se
nikal hī jā.egā ham-rāh-e-āh-e-ātish-bār
na tū mazār pe āvegā tā-dam-e-mahshar
rahegī dīda-e-giryāñ ko hasrat-e-dīdār
abas tū mujh ko Darātā hai apne marne se
hazār tujh se mire mar ga.e haiñ āshiq-e-zār
ye sun ke kahne lagā vo sitamgar-e-be-rahm
mirī balā se jo mar jā.egā tū ai 'bedār'
gayā hai jab se dikhā jalwa wo parī-ruḳhsār
na ḳhwāb dīda-e-giryāñ meñ hai na dil ko qarār
hazār rañg se phūle chaman meñ go gulzār
par us baġhair ḳhush aatī nahīñ mujhe ye bahār
ba-rañg-e-lāla-e-sar mai-kashī nahīñ tujh bin
ki ḳhūn-e-dil se maiñ har roz toḌtā huñ ḳhumār
guloñ ke muñh pe na ye rañg-e-āb-o-tāb rahe
wo rashk-e-bāġh kare gar udhar ko aa ke guzār
ajab nahiñ ki bahā dewe ḳhāna-e-mardum
rahe gar ashk-fishāñ yūñhī dīda-e-ḳhūñ-bār
rihāī kyūñki ho yā-rab maiñ is meñ hairāñ huñ
ki ek dil hai mirā tis pe dard-o-ġham hai hazār
kahā maiñ us but-e-abrū-kamāñ kī ḳhidmat meñ
ḳhadañg-e-jabr ne tere kiyā hai mujh ko nigār
na rahm tere dil-e-saḳht meñ hai ġhair-az-zulm
na mere nāla-e-jāñ-soz meñ asar ai yar
na tab hijr kī rakhtā huñ ne umīd-e-wisāl
ḳhudā hī jaane ki kyā hogā us kā āḳhir-kār
har ek din mujhe yuñ sūjhtā hai jī tan se
nikal hī jāegā ham-rāh-e-āh-e-ātish-bār
na tū mazār pe āwegā tā-dam-e-mahshar
rahegī dīda-e-giryāñ ko hasrat-e-dīdār
abas tū mujh ko Darātā hai apne marne se
hazār tujh se mere mar gae haiñ āshiq-e-zār
ye sun ke kahne lagā wo sitamgar-e-be-rahm
mirī balā se jo mar jāegā tū ai 'bedār'
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.