zulf hai uski pareshan al-hafiz
zulf hai us kī pareshāñ al-hafīz
al-hafīz ai dīn-o-īmāñ al-hafīz
haa.e shīsha meñ nahīñ saaqī sharāb
aur aayā barq-o-bārāñ al-hafīz
yaañ junūñ kā shor hai ai ham-nafas
josh par hai vaañ gulistāñ al-hafīz
aur dardoñ kā nahīñ 'ġhamgīñ' ko ġham
tujh se lekin dard-e-hijrāñ al-hafīz
zulf hai us ki pareshan al-hafiz
al-hafiz ai din-o-iman al-hafiz
hae shisha mein nahin saqi sharab
aur aaya barq-o-baran al-hafiz
yan junun ka shor hai ai ham-nafas
josh par hai wan gulistan al-hafiz
aur dardon ka nahin 'ghamgin' ko gham
tujh se lekin dard-e-hijran al-hafiz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.