kushta hua hai bas-ki wo ek gul-ezar par
kushta huā hai bas-ki vo ik gul-'ezār par
mansūr kā hai ḳhuun har ik nok-e-ḳhār par
jab bazm meñ vo chashm se karatā hai hukm-e-sabr
ik qahr TūTtā hai dil-e-be-qarār par
jab tak fareb-o-makr kī ai dil na ho tamīz
ġhussa par ḳhauf rakh na ummīd us ke pyaar par
kushta hua hai bas-ki wo ek gul-'ezar par
mansur ka hai KHun har ek nok-e-KHar par
jab bazm mein wo chashm se karata hai hukm-e-sabr
ek qahr TuTta hai dil-e-be-qarar par
jab tak fareb-o-makr ki ai dil na ho tamiz
ghussa par KHauf rakh na ummid us ke pyar par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.