maujud ki talash mein hum ho gae adam
maujūd kī talāsh meñ ham ho ga.e 'adam
apnā hī 'ilm jahl se pahuñchā kahāñ talak
jo bad-gumāñ huuñ maiñ vo nahīñ mujh se bad-gumāñ
maiñ bad-gumāñ huuñ apne bhī vahm-o-gumāñ talak
apnā ḳhayāl bhī nahīñ aatā hameñ kabhī
terā ḳhayāl-e-yār rahe hai yahāñ talak
kis tarh apnī jaan kahūñ us ko hamdamo
jis par se maiñ nisār karūñ apnī jaañ talak
'ġhamgīñ' vo nūr-e-nā-mutanāhī hai dhyān rakh
jo nuur hai zamīñ se lagā āsmāñ talak
maujud ki talash mein hum ho gae 'adam
apna hi 'ilm jahl se pahuncha kahan talak
jo bad-guman hun main wo nahin mujh se bad-guman
main bad-guman hun apne bhi wahm-o-guman talak
apna KHayal bhi nahin aata hamein kabhi
tera KHayal-e-yar rahe hai yahan talak
kis tarh apni jaan kahun us ko hamdamo
jis par se main nisar karun apni jaan talak
'ghamgin' wo nur-e-na-mutanahi hai dhyan rakh
jo nur hai zamin se laga aasman talak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.