us shoKH se milne ki tarah jaan gae hum
us shoḳh se milne kī tarah jaan ga.e ham
us apne fanā hone ke qurbān ga.e ham
hasrat thī ki mehmāñ vo kabhī ham ko bulāve
ab daaġh hai kis vāste mehmān ga.e ham
hasrat kī na kuchh pūchh tirī bazm se har roz
kyā kyā na liye hasrat-o-armān ga.e ham
muddat tak apnā nahīñ rahtā hai hameñ hosh
hamdam kabhī is paas gar ek aan ga.e ham
'āshiq hai tu jis par use dekhe hai shab-o-roz
'ġhamgīñ' terī un āñkhoñ se pahchān ga.e ham
us shoKH se milne ki tarah jaan gae hum
us apne fana hone ke qurban gae hum
hasrat thi ki mehman wo kabhi hum ko bulawe
ab dagh hai kis waste mehman gae hum
hasrat ki na kuchh puchh teri bazm se har roz
kya kya na liye hasrat-o-arman gae hum
muddat tak apna nahin rahta hai hamein hosh
hamdam kabhi is pas gar ek aan gae hum
'ashiq hai tu jis par use dekhe hai shab-o-roz
'ghamgin' teri un aankhon se pahchan gae hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.