na to girya na aur zari hai
na to girya na aur zaarī hai
haa.e ye kaisī be-qarārī hai
aur kā intizār hai us ko
aur mujhe us kī intizārī hai
kisī sūrat se bhūltā hī nahīñ
aah ye kis kī yādgārī hai
kyā kahūñ tum se be-qarārī kī
be-qarārī sī be-qarārī hai
tujh pe gar ho to gañg ho vā'iz
haal jo kuchh ki mujh pe taarī hai
be-ḳhud na kabhī rahe hai ye dil
kabhī aur us ko hoshiyārī hai
ham to kal qatl ho chuke 'ġhamgīñ'
dekhiye aaj kis kī baarī hai
na to girya na aur zari hai
hae ye kaisi be-qarari hai
aur ka intizar hai us ko
aur mujhe us ki intizari hai
kisi surat se bhulta hi nahin
aah ye kis ki yaadgari hai
kya kahun tum se be-qarari ki
be-qarari si be-qarari hai
tujh pe gar ho to gang ho wa'iz
haal jo kuchh ki mujh pe tari hai
be-KHud na kabhi rahe hai ye dil
kabhi aur us ko hoshiyari hai
hum to kal qatl ho chuke 'ghamgin'
dekhiye aaj kis ki bari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.