sar mein jo un ka sauda hota
sar meñ jo un kā saudā hotā
ba-ham hote aur sahrā hotā
haal jo un kā dekhā hotā
dard kā kuchh andāzā hotā
husn-e-nazar gar paidā hotā
kaun kisī kā bandā hotā
soch rahe haiñ kyā kyā hotā
dil jo kisī par aayā hotā
aisī kahāñ thī apnī qismat
un ke dar kā sajda hotā
baat pe dil ko dene vaale
kuchh anjām to sochā hotā
sar mein jo un ka sauda hota
ba-ham hote aur sahra hota
haal jo un ka dekha hota
dard ka kuchh andaza hota
husn-e-nazar gar paida hota
kaun kisi ka banda hota
soch rahe hain kya kya hota
dil jo kisi par aaya hota
aisi kahan thi apni qismat
un ke dar ka sajda hota
baat pe dil ko dene wale
kuchh anjam to socha hota
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.14 (Pg. 258)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.