hua diwana har farzana tera
huā dīvāna har farzāna terā
bahut farzāna hai dīvāna terā
mirā ho sham-e’-bālīñ ek shab to
ki hoñ sau jaan se parvāna terā
hamārā haal sun kar qais bolā
junūñ aavar hai kyā afsāna terā
tahī dastī se apne ḳhush huuñ ai hirs
kahīñ ma.amūr ho paimāna terā
kidhar ka.aba kahāñ kā arsh-e-a.azam
dil ba-shikasta hai kāshāna terā
nahīñ qaid-e-yaqīñ meñ tū to 'rāsiḳh'
ḳhushā ye mashrab-e-rindāna terā
hua diwana har farzana tera
bahut farzana hai diwana tera
mera ho sham-e’-baalin ek shab to
ki hon sau jaan se parwana tera
hamara haal sun kar qais bola
junun aawar hai kya afsana tera
tahi dasti se apne KHush hun ai hirs
kahin mamur ho paimana tera
kidhar kaba kahan ka arsh-e-azam
dil ba-shikasta hai kashana tera
nahin qaid-e-yaqin mein tu to 'rasiKH'
KHusha ye mashrab-e-rindana tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.