kohkan na koh mein na qais tha ban mein sharik
kohkan na koh meñ na qais thā ban meñ sharīk
ho sakā koī na merā 'ishq ke fan meñ sharīk
kar diyā patthar ko mom aahan ko aab ik aan meñ
hai asar nāloñ kā mere sañg-o-āhan meñ sharīk
raushnī pakḌe charāġh-kHāna-e-mā'shūq kab
ḳhūn-e-'āshiq jab talak hue na roġhan meñ sharīk
kufr-o-dīñ ko ek hī samjho haqīqat meñ ki hai
rishta-e-tasbīh zunnār-e-barahman meñ sharīk
dost hī tanhā na mātam-dār 'rāsiḳh' ke hue
ho ga.e dushman bhī aakar us ke shevan meñ sharīk
kohkan na koh mein na qais tha ban mein sharik
ho saka koi na mera 'ishq ke fan mein sharik
kar diya patthar ko mom aahan ko aab ek aan mein
hai asar nalon ka mere sang-o-ahan mein sharik
raushni pakDe charagh-kHana-e-ma'shuq kab
KHun-e-'ashiq jab talak hue na roghan mein sharik
kufr-o-din ko ek hi samjho haqiqat mein ki hai
rishta-e-tasbih zunnar-e-barahman mein sharik
dost hi tanha na matam-dar 'rasiKH' ke hue
ho gae dushman bhi aakar us ke shewan mein sharik
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.